Jo bhi acting ke field (abhinye ke
shetr main) apna career banana chahte hain unko sabse pehle samajhna hoga ki
acting kya hai kuch log film industry ki chakachond ki aur attracthokar ya kisi
actor/actress ko acting karte dekh kar usko follow karne lagte hain aur man
bana lete hain ki unko bhi actor/actress banna hai.
Behsk koi bhi actor/actress ban
sakta hai aur jo log bhi acting ko apna profession banana chahte hain wo anthak
mehnat karne ke liye tayar ho chaye kyoki ek safal actor/actress banne ke liye
bahut man laga kar mehnat karni padhti hai.
Ab sabse pehle samajhna hoga ki
acting kya hai “kisi kalpanik kahani/natak phir kisi aetihasik kahani ke
kalpanik charitr (kirdaar) ko aatmsat kar usko present karna hi abhinay/acting
hai ek actor apne us charitr ka pradarshan theatre,film,radio ya kisi bhi
madhyam se karta hai”
“kisi likhit kalpanik charitr ko
jivant banana hi acting hai”
Jis tarha pani main utre bina terna nahin seekha ja sakta matab agar
aapko terna seekhna hai to aapko paani main utarna hi hoga isi tarha aagar
aapko kisi kalpanik kirdaar ko jeevant banana hai to aapko us kirdaar main
samana hoga doobna hoga tabhi aap us kirdaar ke sath niyaay kar
sakte hain. Uske liye aapko khud
mehnat karni hogi koi doosra insaan aapko sirf rasta bata sakta hai lekin us
raste par aage badhne ke liye aapko khud mehnat karni hai aage ke raste khud
banane padhte hain.
Isliye acting field main career
banane ka faisla lene ke baad sabse pehle ye samajhna zaroori hai ki acting kya
hai.
Agar seedhe seedhe lafzon main mai
kahu to hum sab hi acter/actress hai ab aap soch rahe hoge ki kaise wo aise
yaad kijiye bachpan ke wo din jab school ke naam se hi pet or sar main dard ho
jata tha jab maa kehti thi ki chalo school jao tab hun kaise kehte the ki maa
aaj pet main dard ho raha hai, kabhi pet dard ka bahana kabhi sar dard ka
bahana kabhi kuch aur bahana bus yahi to acting hai wo to sab log bachpan se hi
karte aa rahe hain, ek baat aur yaad kijiye jab ghar ka koi nuksan bhai karta
tha to behan usko maar/daat se bachane ke liye maa se kya kya kehti thi isi
tarha jab koi behan shararat karti thi to bhai kaise maa se usko maa ki daat se
bachata tha. Jab thode bade hue to yaad hai wo baat jab aap apni pehli date par
gaye aur ghar jakar maa se bola ki maa aaj tution main sir se extra class li
siliye der ho gai, bus yahi to acting hai zarurat hai to sirf acting ko
samajhne ki.
Acting yahi tak seemit nahin hai
acing ko samajhne ke sath-sath acting ki baareekyon ko samajhna aur seekhna bhi
bahut zaruri hai. Acting ki baareekiyon ko seekh kar hi kisi charitr ko jeevant
kiya jaa sakta hai.
Aapki acting aise honi chahiye ki
aap kisi ko bhi hasane ke liye majboor kar sake kisi ko bhi rone ko majnoor kar
sake aur aisa tabhi sambhav hai jab aap acting ko samajh payege aur acting ki
bareekiyon ko samajh aur seekh payege…
0 Comments